zindagi aaj meri jaan ki"dushman"bani hai,
mere khabon ki rani aaj kisi aur ki "dulhan" bani hai
aisi zindgi se kya faayda "maula"
le kyon nahi leta ye jaan jo chand saanso ki mehman bani hai
socha na tha meri mout ka bhi"faayda"utha legi wo,
mere khoon ki "mehndi" aaj uski sajne ka saaman bani hai
humsafar tha main jiske liye kabhi,
hoke begane ki wo mujhse aaj"anjaan"bani hai
kaash ki main tere sehre ka"phool"hota
to choom leta tere maathe ko ke tu aaj malikae"paristan"bani hai
yoon to dono ne ghar"badle"hain aaj,
wahan tujhe"mahal"mile,yahan kabar hamara"makaan"bani hai
(¯`♥´¯)
`●¸¸●´ ?
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)






0 comments:
Post a Comment